EKTARFA chords by King | KHWABEEDA

On the 20th of May 2022, the track was released. The track was written & performed by King, EKTARFA is the 2nd chapter from King’s 2022 albumKHWABEEDA.

Chords Info

  • Tuning: Standard(E A D G B E)
  • Key: Cm
  • Capo: No Capo
  • Chords: Cm7, Dm7, Fm7, Gm7
  • BPM: 150
  • Suggested Strumming:
  • D= Down Stroke, U = Upstroke, N.C= No Chord
Guitar ChordsUkulele Chords
Cm7 – x35343
Dm7 – xx0211
Fm7 – 131111
Gm7 – 353333
 Cm7 – 0066
Dm7 – 2213
Fm7 – 1313
Gm7 – 0211
EKTARFA

Track Info


[Intro]

Gm7 Dm7 Cm7 Gm7 Cm7
Gm7 Dm7 Cm7 Gm7 Fm7 Cm7

[VERSE 1]


Gm7
Tu Firse paas aa main

zidd nahi karunga,
Cm7
Tu Firse door ja

main kuch nahi kahunga,
Gm7 Dm7
jo tere jaane se mein betha

hun mekhane mein
Cm7
mein kha chuka hun dhoka
Gm7
peene se nahi marunga.

Jo tujhse seekha hu,
Dm7
tujh hi pe to likhunga
Cm7
Jo tujhko chahunga,
Dm7
tujh hi pe to mitunga
Gm7
jo haske aunga main
Fm
fir se tere samne,
Cm7
hu napasand bta diyo main

fir nahi dikhunga.
Gm7 Dm7
maine dekha tujhme saadgi rahi nahi,
Cm7 Dm7
maine dekha tune koshishe bohot kari,
Gm7 Dm7
kehe jo tujhko apne hatho se saja dun
Cm7
hai kami tu pehne bohot

fir bhi lagta kyu saji nahi.
Gm7 Dm7 Cm7
aaj bhi aise dekhe mene dayere nahi,

Ke tujhse baantlun mein
Dm7 Gm7
khudko kehdun aa rahe nahi,

hai tujhse milne,
Fm7 Cm7
bewafa hi the jo haske keh diya,

ke hum bhi dhokhe kha rahe nahi.
Gm7 Dm7
jo firse dekha meri ruk chali kalam thi
Cm7
dil dhadakta,aankhen bheegi,
Gm7
baatein tang thi jo tujhko socha
Dm7
mera poora ek janam thi
Cm7
jab tujhko dekha kisi or ki sanam thi
Gm7 Dm7
Dil to dukhta hai par jeena padhta hi hai,
Cm7 Dm7
Suraj se chaand bhi akele ladhta hi hai,
Gm7 Fm7
Main kitna bhoolun kissa tera adta hi hai,
Cm7
Jo kardein fasla to pyaar badta hi hai


[Verse 2]

Gm7
gaane to chal rahe par
Dm7
baat teri meri hai,
Cm7 Dm7
chirag bujh gaye par raat teri meri hai,
Gm7 Dm7 Cm7
hua vo ek na jo sath janam ka wada tha

to iss sadi main jana kya aukat teri meri hai?
Gm7 Dm7
Mana main sab hi kuch jeeta kuch bhi hara na,
Cm7
Par jisko hara usko dekha fir dobara na,
Gm7 Fm7
Jo dhas gaya hun jaake raet mein main aankhon tak,
Cm7
Tu hai samundar mujhpe boond ka sahara na.
Gm7 Dm7
na mujhse puch mere haal kya sitaro ka,
Cm7
na dum tu kha ye aake noto ki deewaro ka
Gm7 Dm7
,hai paisa kya tu chhoti baatein na kiya kar,
Cm7
main bss pyar se gareeb,

mujhko mol na hazaro ka
Gm7 Dm7
Jo mujhse puch le tu rasta baharon ka,
Cm7 Dm7
to haske kehdu tu nazara meri aankho ka
Gm7 Fm7
main jisko kosne chala hun uska naam yaad
Cm7
fir bhi likh na pana dosh kaam hai gawaro ka.

Gm7 Dm7 Cm7 Gm7 Dm7 Cm7


[Verse 3]

Gm7
Jo tujhko dekha asma mein chand tha nai,
Cm7 Bbm
Kahi pe chupp gaya ke kehta lagta nahi,
Gm7 Fm7
isse haseen mene dekha
Cm7
kahi kuch ke log yu hi likhte rehte

mujhpe aye khuda mein chand nahi.
Gm7 Dm7
ye tere reshmi jo baal jaal sazi hai,
Cm7 Dm7
mara nahi par jeete ji tu meri fasi hai,
Gm7 Fm
daba nahi gala kyu sanse meri ghut rahi,
Cm7
main kya hi du saza ja teri
Dm7
har saza hi maafi hai.
Gm7
Mujhe khabar nahi tu
Dm7
kis zuban mein razi hai,
Cm7
Dikhe asar nahi tu
Dm7
kis dua mein baaki hai
Gm7
agar kabhi main tere samne se guzru,
Cm7
mujhko mil tu ya nahi par teri

ek nazar hi kaafi hai.
Gm7 Dm7
Ektarfa main naam bhi bana lunga
Cm7
Ektarfa mein naam bhi chhupa lunga
Gm7 Fm7
Ek arsa jo beete teri yaado mein,
Cm7
main hoke mashhoor tujhpe
Gm7 Dm7 Cm7
zindagi lutadunga.

Gm7 Dm7 Cm7

If you like the work please write down your experience in the comment section, or if you have any suggestions/corrections please let us know in the comment section.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Scroll to Top